Nil n Nilu Forum
Would you like to react to this message? Create an account in a few clicks or log in to continue.

Nil n Nilu Forum

Online community with resources and discussions on movies, games, technology, softwares, and more
 
HomeGalleryLatest imagesLog inRegister

 

 Zindagi Ki Girti Dewaro'n Ka Saaya He Nahin

Go down 
AuthorMessage
NiLaM
Two Star
Two Star
NiLaM


Female
Number of posts : 209
Age : 39
Warning :
Zindagi Ki Girti Dewaro'n Ka Saaya He Nahin Left_bar_bleue0 / 1000 / 100Zindagi Ki Girti Dewaro'n Ka Saaya He Nahin Right_bar_bleue

Donate : <form action="https://www.paypal.com/cgi-bin/webscr" method="post"><input type="hidden" name="cmd" value="_s-xclick"><input type="hidden" name="hosted_button_id" value="1336398"><input type="image" src="https://www.paypal.com/en_US/i/btn/btn_donateCC_LG_global.gif" border="0" name="submit" alt=""><img alt="" border="0" src="https://www.paypal.com/en_US/i/scr/pixel.gif" width="1" height="1"></form>
Registration date : 2008-04-25

Zindagi Ki Girti Dewaro'n Ka Saaya He Nahin Empty
PostSubject: Zindagi Ki Girti Dewaro'n Ka Saaya He Nahin   Zindagi Ki Girti Dewaro'n Ka Saaya He Nahin Empty2008-04-26, 00:41

Gum'shuda Lamhaat Ka Kuch Khoj Paaya He Nahin
Zindagi Ki Girti Dewaro'n Ka Saaya He Nahin

Tishna Faryaad Hain Lab Aur Aankhain Khushk Hain
Kion Ke Dil Per Aansu'on Ka Abrr Chhaya He Nahin

Zindagi Ko Lamha Lamha Apni Palkon Se Chuna
Koi Sangraiza Teray Koochay Ka Paaya He Nahin

Hum Ne Aankhain Bund He Rakhee'n Tasavvur Main Teray
Aur Uss Shab Hum Ko Koi Khuaab Aaya He Nahin

Her Qadam Per Khaar Paye, Paon Zakhmi Ho Gaye
Phir Bhi Koi Raasta Qadmon Ko Bhaaya He Nahin

Umrr Kuch Aisi Guzaari Jese Khuaabon Ka Safar
Aur Safar Aisa Ke Raah Main, Koi Saaya He Nahin

Chund Lamho'n Ki Enaayat Hum Ne Lauta Di Unhain
Lub Pe Bakhshish Ka Tabassum Hum Ko Bhaaya He Nahin
Back to top Go down
 
Zindagi Ki Girti Dewaro'n Ka Saaya He Nahin
Back to top 
Page 1 of 1
 Similar topics
-
» tere ho bhi nahin sakte....
» shaam ka saaya
» <<<***KAHIN NAHIN HO TUM...***>>>
» MUSKAN nahin aati
» Hum is per kuch nahin likhain gay

Permissions in this forum:You cannot reply to topics in this forum
Nil n Nilu Forum :: Shayari :: Dard-e-dil Shayari-
Jump to: