~*~ sam ~*~ Five Star
Number of posts : 1155 Age : 39 I live in : Delhi Job/hobbies : Cricket , Writing , Long Drive......& &...... Warning : Donate : <form action="https://www.paypal.com/cgi-bin/webscr" method="post"><input type="hidden" name="cmd" value="_s-xclick"><input type="hidden" name="hosted_button_id" value="1336398"><input type="image" src="https://www.paypal.com/en_US/i/btn/btn_donateCC_LG_global.gif" border="0" name="submit" alt=""><img alt="" border="0" src="https://www.paypal.com/en_US/i/scr/pixel.gif" width="1" height="1"></form> Registration date : 2008-06-15
| Subject: Badan Jalta Hai Likh Aise Mein Bas Angaar Ki Baatein ! 2008-07-12, 20:21 | |
| Yeh duniya hum aur aap se hi milkar bani hai lekin bahut ajeeb hai yeh duniya , Pyaar ke badle nafrat , dilon mein dooriyaan , chehre par bholepan ka nakaab , baton mein zahar bujhi si mithaas , dil mein kuchh zuban par kuchh... Hum jinkey liye Jaan detey hain ,jinko dil se atoot Pyaar detey hain...wahi humko iskey liye hamari majboori , hamara ashaipan, samajh hamari Khilli udatey hain....
Kahin khanzar ki baatein aur kahin talwaar ki baatein , shahar mein ho rahi hain har taraf takraar ki baatein ! Na janey dooriyaan rakhkar yahan kyon '' log '' jeetey hain , Main pul ki baat karta hoon aur '' wo '' diwaar ki baatein !Zamaney mein sada rahna sambhalkar aise logon se , Zahar jinkey dilon mein par juwan par pyaar ki baatein ! Na poochho sahilo ko chhodkar lahron mein kyon aaye , Badi dilkash lagi yaron ! hamein majhdhaar ki baatein !Jinhoney lootkar gulshan kali ko khoob raunda tha , Wo kartey ghoomtey hain ab gul-o-gulzaar ki baatein ! Garibi ne hai dekha jabse merey ghar ka darwaja , Badi badli huyi si lag rahin har yaar ki batein !Jin aankhon par pada huya hai, parda jhuthey khwabon ka , zahar bujhney si lagti hain unhey , haqikat aur pyaar ki baatein ! Pasand unko nahi they hum ya dilon pe unkey tha parda , badi bekas lagi mujhko , us bebas yaar ki baatein ! Jigar ko faad kar apney , basaya dil mein tha unko , chhalni kar diya usney , karkey inkaar ki baatein ! Sanam ki zulf mein uljhi kalam ko ab rihayi de , Badan jalta hai likh aise mein bas angaar ki baatein ! sam | |
|