9 sal pahele ak bachhe ne is duniya me apni ankhe kholi
na ma ka pyar mila na bap ka sahara. dekha to bas ak insan ko.
apni duniya se dur insano ke bich pala badha..
logo ne use golu kaha. na kabhi o apne aap ka name jan saka
apni jagah ke liye o kuch bhi kar jata ghar ko apna ghosla samajta
na kisiko under aane dena na kisiko bahar jane deta
ak hi chiz use pata thi yahi uski duniya thi yahi uska sab
ak din mot se ja takaraya vo. bahut sambhala tha use mene
kaha kho gaya kuch pata nahi na dhundh paya use me
do sal bad o firse vapas aaya apne ghar apne logo ke pass
mot bhi use hara na saki.. magar aaj itne sal bad o har gaya
na lad paya apni mot se. chod ke chala gaya o hame
muje yakin nahi he aaj vo mere sath nahi...