Nil n Nilu Forum
Would you like to react to this message? Create an account in a few clicks or log in to continue.

Nil n Nilu Forum

Online community with resources and discussions on movies, games, technology, softwares, and more
 
HomeGalleryLatest imagesLog inRegister

 

 Goldy says.............

Go down 
AuthorMessage
skyriders
Member
Member



Male
Number of posts : 28
Age : 38
I live in : SAUDI ARAB
Warning :
Goldy says............. Left_bar_bleue0 / 1000 / 100Goldy says............. Right_bar_bleue

Donate :






Registration date : 2008-11-26

Goldy says............. Empty
PostSubject: Goldy says.............   Goldy says............. Empty2008-12-04, 16:54

is dunya-e-gulshan main

abhe khilain gy phool shayad
is baar yun lag raha ha

ham pher na milain shayad

******************************************************************************
KON DETA HAI OMAR BAR KA SAHARA FARAZ

LOG THO JANAZAI MAI B KHANDAI BADALTAI REHTAI HAI
*******************************************************************
[b]
tujh se mil ker bhi kuch khafa hein hum
be-maruwut nahin tau kya hein hum

hum ghum-e karwaan mein baithe thay
laug sumjhe shikasta pa hein hum

is turhan se humein raqeeb milay
jaise mudat ke aashna hein hum

raakh hein hum agar yeh aag bujhi
juz ghum-e dost aur kya hein hum

khud ko sunte hein iss turhaaN jaise
waqt ki aakhri sadaa hein hum

kyon zamane ko dein Faraz ilzaam
wo nahin hein tu be wafa hein hum

********************************************************************




ab ke ham bichhare to shaayad kabhii Khvaabon main milain
jis tarah suukhe hue phuul kitaabon main milain


dhondh ujare hue logon main vafaa ke motii
ye Khazaane tujhe mumkin hai Kharaabon main milain


tuu Khudaa hai na meraa ishq farishton jaisaa
donon insaan hain to kyon itane hijaabon main milain


Gam-e-duniyaa bhii Gam-e-yaar main shaamil kar lo
nashaa barataa hai sharabain jo sharaabon main milain


aaj ham daar pe khainche gaye jin baaton par
kyaa ajab kal wo zamaane ko nisaabon main milain


ab na wo main hon na tu hai na wo maazii hai `Faraaz'
jaise do shaKhs tamannaa ke saraabon main milain

**********************************************************************

aise chup hain ke ye manzil bhi kari ho jaise
teraa milanaa bhi judaai ki ghari ho jaise


apane hi saaye se har gaam laraz jaataa hon
raaste main koi divaar khari ho jaise


manzilain duur bhi hain manzilain nazadik bhi hain
apane hi paaon main zanjir pari ho jaise


kitane naadaan hain tere bhulane vaale ke tujhe
yaad karane ke liye umr pari ho jaise


aaj dil khol ke roye hain to yon Khush hai 'Faraz'
chand lamhon ki ye raahat bhi bari ho jaise

******************************************************************
badan main aag si cheharaa gulaab jaisaa hai
ke zahar-e-gam kaa nashaa bhi sharaab jaisa hai


kahaan wo qurb ke ab to ye haal hai jaise
tere firaaq kaa aalam bhi khvaab jaisa hai


magar kabhi koi dekhe koi parhe to sahi
dil aainaa hai to cheharaa kitaab jaisa hai


wo samane hai magar tishnagi nahin jaati
ye kyaa sitam hai ke dariyaa saraab jaisa hai


'Faraz' sang-e-malaamat se zakhm zakhm sahi
hamain aziz hai khaanaakharaab jaisa hai

********************************************************************
Dukh fasana nahi ke tujhse kahein,
dil bhi maana nahi ke tujhse kahein,

aaj tak apni bekali ka sabab,
khud bhi jaana nahi ke tujhse kahein,

Ek tu harf-aashna tha magar,
ab zamana nahi ke tujhse kahein,

Be tarah dil hai aur mujhse,
dostana nahi ke tujhse kahein,

Aye khuda dard-e-dil hai bakhshish-e-dost,
aab-o-daana nahi ke tujhse kahein...


bathing

*******************************************************************************************
'Faraz' ab koi sauda koi junoon bhi nahi,
magar qaraar se din kat rahe ho yun bhi nahi,

Lab-o-dahan bhi mila guftugu ka fan bhi mila,
magar jo dil pe guzarti hai keh sakun bhi nahi,

Meri zubaan ki luknat se bad-gumaan na ho,
jo tu kahe to tujhe umr bhar milun bhi nahi,

'Faraz' jaise koi diya turbat-e-hawa chaahe hai,
tu paas aaye to mumkin hai main rahun bhi nahi...


bathing

*********************************************************************************************

kyaa aise kam-suKhan se ko’ii guftaguu kare
jo mustaqil sukuut se dil ko lahuu kare

ab tau hameN bhi tark-e-maraasim kaa dukh nahiiN
par dil ye chaaHtaa hai ke aaghaaz tuu kare

tere baGhair bhi tau Ghaneemat hai zindagii
Khud ko gaNwaa ke kaun terii justujuu kare

ab tau ye aarzuu hai ke wo zakhm khaa’iye
taa-zindagi ye dil na ko’ii aarzuu kare

tujh ko bhulaa ke dil hai wo sharminda-e-nazar
ab ko’ii hadisaa hi tere ru-ba-ruu kare

chup chaap apni aag meiN jalte raho “Faraz”
duniyaa tau Gharz-e-haal se be-aabruu kare


bathing

*******************************************************************


kyuuN tabiiat kahiiN Thahartii nahiiN
dostii to udaas kartii nahiiN

ham hameshaa ke sair-chashm sahii
tujh ko dekheN to aaNkh bhartii nahiiN

shab-e-hijraaN bhii roz-e-bad kii taraH
kaT to jaatii hai par guzartii nahiiN

ye mohabbat hai, sun, zamaane, sun!
itnii aasaaniyoN se martii nahiiN

jis taraH tum guzaarte ho Faraaz
zindagii us taraH guzartii nahiiN


bathing
*********************************************************************
terii yaadoN kaa vo aalaam nahiiN hai
magar dil kii udaasii kam nahiiN hai

hameN bhii yaad hai vo marg-e-tamannaa
magar ab fursat-e-maatam nahiiN hai

havaa-e-qarb-e-manzil kaa buraa ho
firaaq-e-hamsafar kaa Gham nahiiN hai

junuun-e-paarsaa’ii bhii to naaseh
merii deevaangii se kam nahiiN hai

ye kyaa gulshan hai, jis gulshan meN logoN
bahaaroN kaa ko’ii mausam nahiiN hai

qayaamat hai ke har mai-Khwaar pyaasaa
magar ko’ii hariif-e-jam nahiiN hai

saliiboN pe khiiNche jaate haiN lekin
kisii ke haath meN parcham nahiiN hai

“Faraz” is qaht-zaar-e-raushnii meN
chiraaghoN ka dhuuaaN bhii kam nahiiN hai


bathing

******************************************************************
Moudatoon baad mila mera naam poch liya FARAZ
Bicharty waqt jis ne kaha tha tum bhoout yad aoo gay
bathing
***************************************************************
Main need ka shukeen zayada tu nahi FARAZ Lakin,
Kuch khuwab na daikhoun tu guzara nahi hota…
bathing
******************************************************************
Hansi ko main suun ek bar chonk utha “Faraz”
Yah mugh main dukh chhupaane ka kamaal kesy aa gea!!!
********************************************************************

khon hota hai tere gham mae parehsn FARAZ !!!
Wo tu apni kis baat paiy rou hoga..
*******************************************************


apni aanku meh aansu laya na karo,
apne dil ki baat kisi ko bataya na karo
log muthi meh namak liye pirtheh hain,
apne zakhm kisiko dikaya na karo
bathingbathingbathingbathingbathing
**********************************************************



Back to top Go down
 
Goldy says.............
Back to top 
Page 1 of 1
 Similar topics
-
» goldy says..
» GoLdy Say... Act today only tomorrow is too late
» GoLdy Say... Act today only tomorrow is too late
» Goldy is born to pary but force 2 work..............]
» Missing You........................

Permissions in this forum:You cannot reply to topics in this forum
Nil n Nilu Forum :: Other language :: Mix-
Jump to: