Nil n Nilu Forum
Would you like to react to this message? Create an account in a few clicks or log in to continue.

Nil n Nilu Forum

Online community with resources and discussions on movies, games, technology, softwares, and more
 
HomeGalleryLatest imagesLog inRegister

 

 !*! TAMASHA BAN KAR REH GAYI HAI ZINDAGI !*!

Go down 
2 posters
AuthorMessage
Heena khan
Five Star
Five Star



Female
Number of posts : 2147
Age : 34
Warning :
!*! TAMASHA BAN KAR REH GAYI HAI ZINDAGI !*! Left_bar_bleue0 / 1000 / 100!*! TAMASHA BAN KAR REH GAYI HAI ZINDAGI !*! Right_bar_bleue

Donate : <form action="https://www.paypal.com/cgi-bin/webscr" method="post"><input type="hidden" name="cmd" value="_s-xclick"><input type="hidden" name="hosted_button_id" value="1336398"><input type="image" src="https://www.paypal.com/en_US/i/btn/btn_donateCC_LG_global.gif" border="0" name="submit" alt=""><img alt="" border="0" src="https://www.paypal.com/en_US/i/scr/pixel.gif" width="1" height="1"></form>
Registration date : 2008-04-23

!*! TAMASHA BAN KAR REH GAYI HAI ZINDAGI !*! Empty
PostSubject: !*! TAMASHA BAN KAR REH GAYI HAI ZINDAGI !*!   !*! TAMASHA BAN KAR REH GAYI HAI ZINDAGI !*! Empty2008-10-25, 00:23

Tamasha ban kar reh gayi hai
reh-guzar yeh meri
na jaane kis talaash mein
yeh zindagi hai meri
Heart
sajji thi mehfil kal yaaron ki
khushiyon ki lai thi saugat
aaj na koi dost na parchai hai
soone palon se bhari
yeh zindagi hai meri
Heart
sannate ki aahat pe
dil kuch ghabraaya tha
jab din thak kar chupke se
dhalne ko aaya tha
roshan kai chirag par
yaadon ke andheron mein simat-ti
yeh zindagi hai meri
Heart
nigaahe aaj bhi uska rasta dekhti hai
us ajnabi ki dhadkan pehchanti hai
ek khwahish ke saroor pe zinda
khone ke hunar se bhari
yeh zindagi hai meri
Heart
Tere mere milan ki yeh raina
kuch pal mein dum tod gayi
khauf ke jeet ka jashn dekh
apni haar ka matam manaati
yeh zindagi hai meri
Heart
Tamasha ban kar reh gayi hai
reh-guzar yeh meri
na jaane kis talaash mein
yeh zindagi hai meri
Back to top Go down
NancY
Five Star
Five Star
NancY


Female
Number of posts : 2546
Age : 49
I live in : hyderabad (india)
Job/hobbies : love listen to music , love shayris ,and playing long tennis
Warning :
!*! TAMASHA BAN KAR REH GAYI HAI ZINDAGI !*! Left_bar_bleue0 / 1000 / 100!*! TAMASHA BAN KAR REH GAYI HAI ZINDAGI !*! Right_bar_bleue

Donate : <form action="https://www.paypal.com/cgi-bin/webscr" method="post"><input type="hidden" name="cmd" value="_s-xclick"><input type="hidden" name="hosted_button_id" value="1336398"><input type="image" src="https://www.paypal.com/en_US/i/btn/btn_donateCC_LG_global.gif" border="0" name="submit" alt=""><img alt="" border="0" src="https://www.paypal.com/en_US/i/scr/pixel.gif" width="1" height="1"></form>
Registration date : 2008-04-01

!*! TAMASHA BAN KAR REH GAYI HAI ZINDAGI !*! Empty
PostSubject: Re: !*! TAMASHA BAN KAR REH GAYI HAI ZINDAGI !*!   !*! TAMASHA BAN KAR REH GAYI HAI ZINDAGI !*! Empty2008-10-25, 00:29

Na zikr karo unka na baat ho kisi gair ki
Khamoshiya hi rehne do is baar mera dil toota hai

Hai kise chah roshni ki ye shama kis ne jalayi hai
Taariqiyo ko chaa ne do is baar mera dil toota hai

Ek umeed dil mein basayi thi ab baki nahi hai kuch bhi
Tanha ziist guzar ne do is baar mera dil toota hai

Bohot uthaye naaz unke aur sahi saari ghutkiya bhi
Humse na ab koi aas rakho is baar mera dil toota hai

Apno ne humein thukraya hai gair bhala apnaye kyu
Mat pucho mujhse haal mera is baar mera dil toota hai

Kyu mangu kisi se main panaah kyu jau kisi ki chokhat pe
Aey rab tujhi se hai gila ke is baar mera dil toota hai

Aasaar mere samje na mere gam ki hadh jaani
Ab nahi talab baaki koi mehfil ki is baar mera dil toota hai

Na udaao yuh meri hasi na dekho aisi nazro se
Main sach kehti hu tumse is baar mera dil toota hai

Mat pucho mujh se aey dosto kaise lagi ye chot mujhe
Bas itna jaan lo tum ke is baar mera dil toota hai

Na mujh se koi sawaal karo na jawaab ki koi tamanna rakho
Main kuch kehna ke kabil nahi is baar mera dil toota hai

Kyu cheda hai in afasano ko kya rakha hai in fasano mein
Bandh kardo ab ye guftagu is baar mera dil toota hai

Piya nahi jaata hai mujhe se ayyaam ki is talkhi ko
Lahed mein mujhe ab so jaane do is baar mera dil toota hai


Dil ke har ek tukde se yahi ek sadaa bas aati hai
Rakh do kalam ko aey KAMSIN is baar mera dil toota hai
Back to top Go down
http://groups.yahoo.com/group/drishne_shayrisgroup/
 
!*! TAMASHA BAN KAR REH GAYI HAI ZINDAGI !*!
Back to top 
Page 1 of 1
 Similar topics
-
» !!*!! MUJHKO TAMASHA BANA GAYA EK SKHAS!!! !!*!!
» Heroein lut gayi
» Jaam Se Peena Rasm Puraani Ho Gayi
» Dard diya usne, dawaa woh ne de gayi
» !!*!! Main uth gayi or aap log so rahe ho !!*!! how sad

Permissions in this forum:You cannot reply to topics in this forum
Nil n Nilu Forum :: Shayari :: Dard-e-dil Shayari-
Jump to: